🎯 Fatah O Shikast Ke Asbaab!
✍️ Hazrat Moulana Syed Rabey Hasni Nadwi Sb DB
(President All India Muslim Personal Law Board)
_______Musalmanon Ki Tareekh Mein Tadad Ki Ahmiyat Kabhi Nahin Rahi, Akhlaqiyaat, Deeni Ghairat Aur Ma'anwi Taqat Ko Awwaliyat Rahi Hai,Aur Un Ki Fatah O Shikast Mein Yahi Aamil Sab Se Bada Aamil Raha Hai, Aur Jab Jab Yeh Aamil Kamzor Hua, Un Ko Kamzori Lahaq Hui, Is Ke Nateeje Mein Musalmanon Ne Kai Jagah Izzat O Hukumat Donon Khodi. Spain Mein Undolus Ki Hukumat Ka Khona Tadad Ya Fauji Wasail Ki Kami Ki Wajah Se Nahin Pesh Aaya, Wahan Aapas Ke Tafarruqah Aur Bhai Bhai Ki Ladai, Choti Choti Toliyon Aur Riyasaton Mein Bat Jane, Phir Aapas Ki Resha Danion Aur Ek Dusre Ke Khilaaf Sazishen Karne Aur Is Mein Dushmanon Tak Se Madad Lene Se Yeh Waqi'ah Pesh Aaya Aur Phir Musibat Aane Par Taqatwar Aur Ba'asar Bhaiyon Ki Taraf Se Betawajjohi Ikhtiyar Karne Ne Mazid Asar Dalaa_______
🎁Peshkash : Shoba e Tahaffuz-e-Islam Media Service, Markaz Tahaffuz-e-Islam Hind
No comments:
Post a Comment