Monday, February 7, 2022

Hijab pahenna Muslim Auraton ka Mazhabi aur Aayini Haq hai : Maulana Umrain Mahfuz Rahmani

 Hijab pahenna Muslim Auraton ka Mazhabi aur Aayini Haq hai : Maulana Umrain Mahfuz Rahmani



Markaz Tahaffuz-e-Islam Hind ke zer-e-ehtimaam "Hijab Hamara Aayini Haq Hai" Twitter Muhim ka Elaan, Ahle watan se shirkat ki appeal.


Bangalore, 7 Feb (Press Release) : Islam ek mukammal Zabta-e akhlaq aur deen-e fitrat hai, jiska har qanun na sirf kirdaar ki tashkeel karta hai balke afraad ki zindagi ko tahaffuz aur rooh v qalb ko sukoon bhi faraham karta hai. Islam ne aurat ke liye jo ahkaam v qawaanin mutayyin farmaaye'n hai unme se hijab yaani parde ka hukm nihayat ahemiyat ka haamil hai. Agar insan sahih samajh rakhta hai to parde k ahkamaat ki hikmato'n par nazar kar sakta h. Ye parda hi hai jo aurat ko tahaffuz ( security ) faraham karta hai aur uski sharm o haya ko bar-qarar rakhta hai. Aur dar-haqiqat sharm o haya hi aurat ka zewar hai. Aurat k liye parde ka sharai hukm islami shari'at ka turra-e imtiyaz aur qabil-e fakhr deeni riwayat hai. Islam ne aurat ko parde ka hukm dekar izzat o takreem k a'ala tareen maqaam par khada kiya. Mazkoora khayaalat ka izhaar Markaz Tahaffuz-e-Islam Hind ke Sarparast Hazrat Maulana Mohammed Umrain Mahfuz Rahmani Sahab DB ne kiya. Maulana ne farmaya k Hijab Islami Talimaat aur Muslim Tahzeeb ka atoot hissa hai aur ba-waqar libas ki ek qadeem shakl hai jo musalmaano aur mukhtalif naamo'n se dusre Maz'habi aur Tahzeebi guroho'n k yahan raayij h. Maulana Rahmani ne farmaya k libaas k intekhab ka haqq , apne mazhabi aqeedey par amal karna ek bunyadi aur aaeini haq h, hijab pahenna Constitution Of India Ke Article 14 aur 25 k tahet bunyadi huqooq me se hai, jis se kisi fard ko mehrum nahi kiya ja sakta. Lekin afsos k firqa-parast taaqaten Karnataka ki Muslim Talibaat ko is se mehrum karna aur iske natije me unke waqaar aur taalim k haqq ko chhinna chahti hain, jo na sirf intehaei afsos-naak baat h balke aain-e hind me shahriyon ko diye gaye mazhabi huqooq aur aazadi k munaafi h. Maulana ne farmaya Karnataka Government ka hijab par pabandi aayid karna aur baa-hijab talibaat ko college k campus me dakhil hone se rokne ka maamla ab High Court tak pahunch chuka hai , jiska faisla 8 February ko aayega. Maulana Umrain Mahfuz Rahmani ne farmaya k isi k pesh-e nazar baa-hijab Muslim Talibaat k huqooq k khaatir, unke sath izhaar-e yak-jahti ke liye aur Constitution Of India me diye gaye mazhabi aazadi k haq k tahaffuz k liye Markaz Tahaffuz-e-Islam Hind ki jaanib se ek Twitter Muhim (Twitter Trend) chalayi ja rahi h. Trend k liye 07 Feb 2022 baroz Monday , Shaam 5:30 baje ka waqt tay kiya gaya h. Waqt se pahle In Sha Allāh Markaz Tahaffuz-e-Islam Hind k social media accounts k zariye Hashtag ka elaan kiya jayega aur Markaz k Official Twitter Handle se tweet bhi kiya jayega. Markaz k Sarparast Maulana Rahmani Saheb ne tamaam ahle watan bil-khusus biradraan-e Islam se appeal ki h k wo is "Hijab Hamara Aayini Haq Hai" Twitter Trend me bharpoor hissa len aur nafrat ki siyasat ko aaini huqooq k zariye khatm karne ki koshish karein.


#Press_Release #News #Letter_Head #UmrainRahmani #HijabisOurRight #HijabIsOurPride #Hijab #MTIH #TIMS

1 comment: