🎯 Babri Masjid Hamin Kiya Sabaq De Gai?
✍️Maulana Muhammad Khalid Saif Ullah Rahmani Saheb DB
(Secretary All India Muslim Personal Law Board)
___Zindah Qaum ka kam yah Nahin Hai Keh Woh Hadisaat per sirf ranjo gam ka izhaar Karen; Bal keh Woh Hadisaat Se Sabaq Leti Hain, Is (Baabri Masjid ki jagah mandir ki tameer) Hadisaat ka Sabaq yah Hai Kih:
Masjidon se hamara Rishtah masbut Ho, Surat E Haal yah hai keh Namaz E Fajar Ada Karne Wale musalmanon Ki Tedaad Ek Fisad Se Bhi Kam Hai, Panj Waqtah Namazon Ki Pabandi Karne Wale Ba Mushkil 20/25/ Fisad Hon Ge, Shayed Woh Samajhte Hain Keh Un Ke Liye Sirf Jumah Ki Namaaz Farz Ki Gai Hai, Pandrah Bis Fisad Musalmaan Woh Hain Jo Karobaar, Taleem Aur Mukhtalif Bahanon Se Jumah Ka Bhi Naagah Kar Dete Hain, Aur Shayed Eidayen Ke Siwa Kabhi Un Ki Peshani Khuda Ki Chaukhat Par Nahin Jukh Pati, Agar Musalmaan Khud Masjidon Se Apna Talluq Tud Len To Masjid Ki Hifazat Kaise Hogi? Jis Makaan Ki Taraf Se Makinon Ki Tawajjah Hat Jaye, Woh Bahut Jald Wiraan Aur Khandar Ho Jata Hai, Musalmaan Khud Masjidon Ko Aabaad Nah Karen Aur Sarkaar Se Ummid Rakhen Keh Woh Masjid Ki Hifazat Kare Gi, Is Se Bhi Badi Koi Na Samjhi Ho Sakti Hai, Agar Ham Khud Masjidon Ka Haq Ada Karen Ge To Allah Tala Us Ki Barkat Se Hamari Masjidon Ki Hifazat Farmayen Ge___
🎁Peshkash : Shoba e Tahaffuz-e-Islam Media Service, Markaz Tahaffuz-e-Islam Hind
Thursday, August 13, 2020
Akabir Ka Paigham - 04
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment