🎯Jang E Aazadi Ka Aagaaz Musalmanoo Ne Kiya Tha!
🎙️Maulana Syed Arshad Madani Sb DB
(Sadar Jamiat Ulama-i-Hind)
_______Log Yeh Samajh Te Hain Aur Yeh Mashoor Bhi Hai Keh Jang E Aazadi Ki Sab Se Pehli Ladai 1857 Men Ladi Gai Halan Keh Yeh Galat Hai. Sab Se Pehli Jang E Aazadi 1754 Main Ali Wardi Khan Ne, Phir Dusri 1757 Men Nawab Siraajuddaulah Ne Ladi. Phir Tisri Jang E Aazadi 1782 Men Aur Chauthi 1792 Men, Panch Win 1799 Men Fatah Muhammad Ali Khan Sultaan Tipu Shahid Rahmatullahi Alaih Ne Ladi. Phir 1803 Men Shah Abdul Aziz Muhaddiz Dehelwi Saheb Rahmatullahi Alaih Ne Aazadi Ki Tahrik Chalai Aur Isi Tahrik Ke Sayeh Tale Chatti Jang E Aazadi 1831 Men Inke Shagirdon Bil Khusus Hazrat Sayed Ahmad Shaheed Raye Barelwi Rahmatullahi Alaih Ne Ladi. Us Ke Baad Saathwin Jang E Aazadi 1857 Men Ladi Gai Aur Aazadi Ki Tahrikaat Ka Yeh Silsilah Jari Raha, Bilaa Aakhir 1947 Ko Mulk Aazad Howa, Jis Men Shuru Se Aakhir Tak Musalmanon Ne Qaidanah Kirdaar Ada Karne Ke Saath Saath Biradaran E Watan Ko Bhi Is Jang E Aazadi Men Apne Saath Sharik Rakha. Aur Is Tarha Hindustan Aazad Howa_______
(Iqtebaas Az Bayaan Ba Unwaan "Tahrik E Aazadi Hind")
🎁Peshkash : Shoba e Tahaffuz-e-Islam Media Service, Markaz Tahaffuz-e-Islam Hind
No comments:
Post a Comment