Sunday, August 23, 2020

Akabir Ka Paigham : 11


๐ŸŽฏ  Islam Ki Sahih Tasveer Pesh Karna Ulama Ka Farz E Mansabi!


๐ŸŽ™️Hazrat Maulana Syed Arshad Madani Sb DB

(President Jamiat Ulama-i-Hind)


_______Watan E Azeez Mein Is Waqt Firqah Waariyat Ka Fitnah Urooj Par Hai. Mulk Mein Aqalliyat Aur Khususan Musalmanon Ke Khilaaf Nafrat Ko Phelaya Ja Raha Hai, Jisse Aksariyat Aur Aqalliyat Donon Ka Nuqsaan Ho Raha Hai. Lekin Musalmanon Ko Mayus Hone Ki Zarorat Nahin Hai, Kyunki Nafrat Ki Aag Ko Pyaar O Muhabbat Aur Husn E Akhlaaq Se Bujhaya Ja Sakta Hai. Logon Ke Zehnon Se Ghalat-Fehmiyon Ko Door Karna Aur Islam Ki Sahih Tasveer Pesh Karna Ulama Ka Farz E Mansabi Hai. Maslaki Ikhtilafaat Se Hat Kar Aapasi Ittehaad Ko Farogh Diya Jaye Aur Insaniyat Ki Buniyad Par Har Ek Se Rawadaari Aur Accha Suluk Karna Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam (S.A.W) Ki Taleem Hai. Yahi Taleem Madarson Mein Bhi Talaba Ko Di Jati Hai, Is Paigam Ko Logon Par Zahir Karne Keliye Unko Madarson Mein Mad'oo Kiya Jaye Aur Bataya Jaye Ki Yahan Aman Aur Salamati Ki Taleem Di Jati Hai_______

(Iqtibaas Az Bayan Ba-Unwaan "Tarbiyati Majlis Baraye Ulama E Kiraam" Venue: Bangalore, March 2018)


๐ŸŽPeshkash : Shoba e Tahaffuz-e-Islam Media Service, Markaz Tahaffuz-e-Islam Hind

No comments:

Post a Comment